chaand, taaro ki jhurmat mai
April 10, 2009
Tere bin 1 pal bhi yu guzarta hai
ursa sehra mai kata ho jese
udaas kiu ho meri jaan is tarha?
goya khud se bhi khafa ho jese
jalwa-e-husn unka dekha to laga
waqt bhi tham sa gaya ho jese
chaand, taaro ki jhurmat mai
ker raha teri sana ho jese
(by Shoaib)
tera haath hai mere haath mai
April 10, 2009
Tere hath hai mere hath mai
meri jaan hai mere saath mai
meri khuahishe kabil-e-qadar hain
khuloos hai mere jazbaat mai
kitni hai paicheeda zindagi
ajeeb haal hai in halaat mai
bas teri mehak mere khwabo mai
teri hi jhalak khayalaat mai
meri zindagi bas tumhi se hai
meri har khushi teri zaat mai
(by Shoaib)
Mefil na ho koi
April 10, 2009
Mehfil na ho koi koi soghat na ho,
dunia ho kiu abaad, agar tera saath na ho
tujh se hai har tamanna har khuaish tumhi se
tere bin na ho din, aisi koi raat na ho
(by Shoaib)
ham se juri hain yaaden
April 10, 2009
Aisi bhi kia badgumani ham se
ke dosti bhi nahi nibhani ham se
yad tum ko shayed nahi ab
juri hain kuch yaadain purani ham se
Jaane kab phir milna ho hamara
le lo koi nishani ham se
Aik baar azma ker dekho
khobsurat hai zindagani ham se
dil ka shoaib bura nahi hai
phir kia nazrain churani ham se
(by Shoaib)
Udasi
April 10, 2009
Dil phir udaas hai mera
phir aik naya bahana hai
tanhai mujh se kehti hai
shayed kisi ko ana hai
dunia ruki ruki si hai
mosam bara suhana hai
tanhai mujh se kehti hai
shayed kisi ko ana hai
(by Shoaib)
tumhari yaad
April 10, 2009
zindagi aur mout to Khuda ke hath mai hai
jo hamare haath mai hai ham wohi kare ge
tum se bichar ker agar jeena para to
tumhari yaad ke sahare zinda rahe ge
(by Shoaib)
Yaad, Faryaad
April 9, 2009
Ab kaha log hame yaad kia karte hain,
Yaad aati hai tu ham faryaad kia karte hain
(by Shoaib)
Yaado ki sarkhoshi
April 3, 2009
Aankho mai utar aayi hai,
Yaado ki sarkhoshi
Pal pal badal rahi hai
Kese yeh zindagi
(by Shoaib)
Aukaat
April 3, 2009
Ghari rukti nahi auqaat badal jaate hain
Log badalte nahi halaat badal jaate hain
(by Shoaib)
